Flower of Life and it's mystry |
kaun sa pal antim hoga kya bharosa?
Jindagi choti si hai,
Kitni choti hai ye jindagi kya bharosa?
Jindagi khel hai,
Jiska kai logon se mel hai,
Bohot kuch sikhati hai,
Bohot kuch batati hai,
Bohot kuch chipati hai ye jindagi,
Kaun sa pal saccha hai , kaun sa jootha..
Kya bharosa?
Chalti- chalati aage badhati gaadi hai jindagi,
Kis mod par aake ruke kya bharosa?
Ek pal khushi , ek pal udasi,
Ek pal pyar, ek pal khatas hai ye jindagi.
Jindagi paheli hai,
Jisne pehchaan li wo iski saheli hai,
Jindagi bijali ki raftaar chalti hai jiske aage acche - acchon ki nahi chalti hai..
Ek pal se ek pal ka silsila hai jindagi,
Waqt se kismat ka faasla hai jindagi,
Kab kaun sa haadsa ho jaye kya bharosa?
A very nice try simo..
ReplyDeletekhoob parkha hai apne apni abhitak ki zindagi ko :)
Aapke hi nakshe kadam par chal rahi hu :-)@snehu :-)
ReplyDelete